Socha ki baat kar lu kisi se, par kya hai na.......
Aadmi hu, gum bata nahi sakta, aansu dikha nahi sakta!
Socha ki kya karu duniya me ma tere bina, par kya hai na.....
Ab bada ho gaya hu, gum bata nahi sakta, aansu dikha nahi sakta!
Socha ki keh du logon se kyu karte ho bhed bhaav, kyu main hi alag reh jata hu sabse,
Par kya hai na......
Aadmi hu, gum bata nahi sakta, aansu dikha nahi sakta!
Socha ki kyu main hi akela reh Jata hu. Chah ke bhi kisi ko sath aane ka main keh nahi pata....
Kya hai na,
Aadmi hu, gum bata nahi sakta, aansu dikha nahi sakta!
Sochta hu ki mujhe dikhte sabke ghayal mann,
Koshish karta main ki hansta rahe har koi mere karan,
Par kya hai na,
Aadmi hu, gum bata nahi sakta, aansu dikha nahi sakta.
Sochta hu ki koi nahi jisku bol Saku tujhse hi hai apnaapan, meri har kamjori ko dur kare aisi hai teri lagan,
Par kya hai na,
Aadmi hu, gum bata nahi sakta, aansu dikha nahi sakta !
Sochta hu ki kaun hai aisa jispe kar Saku bharosa, Maan bhadaye mera, na de Dhokha, nahi milta aisa kaisi se apna pan....
Par kya hai na,
Aadmi hu, gum bata nahi sakta, aansu dikha nahi sakta!
Sochta hu Maan lu main apni haar, nikalna chahta hu main isse jo hai yeh makadjaal,
Par kya hai na, nikal nahi sakta,
Aadmi hu, gum bata nahi sakta, aansu dikha nahi sakta!
Sochta hu, kaash kar sakta main bhi dhokha,
Bolu jhooth aur karu vaisa jaisa hota mere saath,
Par kya hai na, jhooth bola nahi jata,
Aadmi hu na, gum bata nahi sakta, aansu dikha nahi sakta!
Sochta hu. Maang lu bhagwan se mukti,
Karu sansar ko alvida.
Par kya hai na, parivar ko chor ke Bhaag nahi sakta,
Aadmi hu na, gum bata nahi sakta, aansu dikha nahi sakta!
self creation number 29. To be typed in hindi and few modifications to be done....